01
The questionSawaal
اصل سوالQaza namaz ka tarika | qaza namaz ki niat aur rakat
02
The responseAl-Jawab
Qaza namaz ka tarika | कज़ा नमाज़ का तरीका , नियत और रकात
Aaj ham aap ko qaza namaz ka tarika batayenge .Balig hote hi har musalman par namaz farz ho jati hai . Uske liye namaz ada karna zaroori ho jata hai . Aur namaz ka chodne wala saza ka mustahiq hota hai . Jane ankane me hamari bahut si namazen qaza qaza ho jati hain ,Jin ka ada karna zaroori hota hai . Kuch namazo ke bare me to hame yaad rahta hai , Lekin bahut si namazo ke bare me ham bhool jate hain . Phir baligh hone ke baad hamari kitni namazen chooti hain , Iska hisab lagana bhi hamare liye bahut mushkil ho jata hai . Kabhi kabhi hame namaz pdhne ka khayal aata bhi hai to ye soch kar hamen khud mahsoos hota hai , Ki itni saari namazo ki qaza ham kaise pahen .Qaza namaz ka hisab kaise karen
Qaza namazon ke hisab karne ka tarika ye hai ki , Jab se balig hue us waqt se lekar ab tak ke din ka husab kar len . Jaise ki agar balig hue 5 ssal guzar gaye to un 5 saalon ke din ki tadad kul 1825 hogi . Ab is baat ka andaza lagayen ki is me ham ne kitni feesad % namazen ada ki hain . Aur isi se andaza ho jayega ki kitni chooti hain . Andaza lagane ke baad agar kuch zyada namaze shamil ho jayen to koi haraj nahi , Wo nafil me shumar hongi , Hisab karne ke baad behtar ye hai ki use kahin likh len .Qaza namaz ko ada karne ka aasan tarika
(1) Pahla tarika ye hai ki har namaz ke saath kuch dinon ki namazen ada kar len . Misaal ke taur par Namaz e Zohar ada karne ke baad poore aik din ki namaz is tarah se ada kar len . Fajar ki 2 rakat , Zohar ki 4 rakat , Asar ki 4 rakat , Maghrib ki 3 rakat , Isha ki 4 rakat farz aur 3 rakat witr wajib . Is tarah se 1 waqt me 1 din ki aur 5 waqt me 5 din ki namazen ada ho jayengi . (2) Dosara Tarika ye hai ki har namaz ke saath kai din ki namaze ada ki jayen , Jiase ki Zohar ki namaz ke saath 5 dino ki aur zohar ki namaz ada kar liya jaye . Isi tarah Asar , Maghrib , Isha Aur fajar ke saath bhi 5/5 waqt ki namaze ada kar le . Is Tarike se 1 saal me 5 salon ki namaz ada ho jayegi . Phir jab bhi waqt mile to us me jald se jald baqi namaz ada karne ki koshish karna chahiye . Badi raaton me aksar log shab bedari karte hai , Unhen chahiye ki in raaton me apni chooti hui namaz ada karne ka khaas ehtimaam karen . (3) Ya is tarah bhi kar sakte hain , Ki Zohar ki 2 nafil , Asar se pahle ki 4 sunnat , Maghrib ke baad ki 2 nafil , Isha se pahle ki 4 sunnat , Aur isha ke baad ki 4 nafil ki jagah chooti hui namazon ki utni rakaat ada kar len .Qaza Namaz ki Niyat Kaise karen
Qaza namaz ki niyat is tarah se karen . Niyat ki main ne 2 rakat fajar ki farz ki jo mere zimme sab se pahle baaqi hai , Waste Allah ta’la ke munh mera kaaba shareef ki taraf . Phir Takbeer e Tahreema kahne ke baad baaqi namaz ada kare .Qaza Namaz padhne ka time
Jin waqto me namaz padhna makrooh hai , Un waqto ko chod kar baqi kisi bhi waqt qaza namaz ada kar sakte hain . Behtar tarika wahioopar zikr hua ki har namaz ke saath kuch namaze ada kar li jayen .Qaza Namaz me In Cheezo ki Choot Hai
Shariat Ne qaza e umri ki adaigi ke liye itni choot di hai . wo ye hain .- 3 aur 4 rakat wali namaz me pahli 2 rakat me aur 2 rakat wali namaz ki dono rakaton me Surah fatiha ke saah ,Quran ki sab se choti soorat yani surah kausar padh liya jaye .
- Aur 4 rakat wali namaz ki aakhri dono rakato me sirf 3 baar Subhan allah kah kar ruku kar liya jaye .
- Ruku aur sajde me sirf 1 baar tasbeeh padhna kaafi hai .
- qada e akheera me agar chahen to sirf ( Allahumma salli ala muhammad wa aalihi ) padh kar salam pher den .
Nek aulad ke liye dua | नेक औलाद के लिए दुआ
Surah kahf ki fazilat | सूरह कहफ़ की फ़ज़ीलत और वजीफा
D
Answered and reviewed by
Darul Ifta Scholar
Scholar & reviewer
Was this answer useful? Save or share it for later.