Shabe barat ki nafil namaz ka tarika aur fazilat
Sawal / Inquirer Query (سوال/عرض سائلین):
Al-Jawab (Original Text / اصل جواب):
Shabe barat bahut hi barkat o azmat wali raat hai . is raat me momin bandon ko Allah ki bargah me khoob ibadat karna chahiye.taki jab ham shabe barat me Allah ki ibadat karege to Allah ham se razi ho jayega .
Maghrib ke baad 6 rakat namaz ki fazilat
Shabe barat me 6 rakat namz 2/ 2 rakat kar ke padhe. pahli do rakat lambi umr ke liye .phir do rakat museebat aur bala khatam hone k liye .phir do rakat husool e daulat ki niyat se padhe .aur har do rakat ke baad surah Yaseen 1 baar ya 21 baar surah Ikhlaas aur uske baad duaye shabunl moazzam 1 baaar padhn.
magrib ke baad ki nafil ki niyat
1] Niyat ki main ne 2 rakat namaz nafil lambi umr ke liye .waste Allah tala ke munh mera kaaba shareef ki taraf Allahu Akbar.
2] Niyat ki main ne 2 rakat namaz nafil museebat dor karne ke liye .waste Allah tala ke munh mera kaaba shareef ki taraf Allahu Akbar.
3] Niyat ki main ne 2 rakat namaz nafil Allah ke siwa kisi aur ka muhtaaj na hone [ maal ke husool ke liye] ke liye .waste Allah tala ke munh mera kaaba shareef ki taraf Allahu Akbar.
Shabe barat me gunaho ki maafi ki namaz
Shabe barat me baad namaz e maghrib 2 rakat namaz istarah padhe ki har rakat me surah fatiha ke baad Surah hashr ki 3 aakhiri aayat 1 martaba aur surah ikhlaas 3 baaar padhe . Tp Allah tala is namaz ki barkat se uske tamam gunahon ko maaf farma dega.
hajat poori karne ki namaz / Salatul Khair
100 Rakat nafil namaz istarh padhe ki har rakat me surah Fatiha ke baad 10 baaar surah ikhlaas padhe . To Allah tala uski taraf 70 baar nigah ekaram farmayega. aur har nigah me uski 70 hajat poori hogi. sab se choti hajat bakhshish hai .[Guniyatut Talibeen]
Umar me barkat ki namaz
Huzoor Sallahu alaihi wa sallam ne farmaya mera ummati Shabe barat me 10 rakat nafil is tarah padhe ki har rakat me surah fatiha ke baad Surah Ikhlaas 11 baar padhe. To uske tamam gunah maaf ho jayenge . Aur Allah uski umr me barkat ata farma dega . [Nuzhatul Majalis]
Rizq me barkat ki namaz
Shabe barat me jo banda 2 rakat namaz is tarah padhe ki har rakat me surah fatiha ke baad 1 baar ayatul kursi aur 15 baar surah ikhlaas padhe . phir 100 baar durood shareef padh kar Allah se dua kare to uske rizaq me barkat hogi.
Azab e Qbar se nijat Aur Jannat me jane ki Namaz
8 rakat namaz shabe barat me jo istarh se padhe . har rakat me surah fatiha ke baad surah Ikhlaas 10 baar padhe . to Allah tala is namaz ke padhe wale ke liye be shumar farishte muqarrar kar dega . jo use azab e qabr se nijat ki aur Jannat me dakhil hone ki khush khabari denge.
Note : jis ki Qaza namzen baqi hon ziyda se ziyada shabe barat me qaza namaz ada kare . isliye ki qayamat ke din farz namazo ke bare me pooch jayega.