Ref #14
Back to All Fatwas
Verified Jurist
Ref #156
Verified Hanafi Fiqh
7.7K Views
Sote aur uthte waqt ki dua jo bahut fayde mand hain
Font:
Sawal / Inquirer Query (سوال/عرض سائلین):
Sote aur uthte waqt ki dua jo bahut fayde mand hain
Al-Jawab (Original Text / اصل جواب):
Sote aur uthte waqt ki dua
Hamare Aaqa sallahu alaihi wasallam ne kisi bhi maqam par apni ummat ko faramosh nahi kiya . Har waqt kya karna hai . Kaise rahna hai . Sone ,Uthne ,Baithne ,Khane , Peene Sab cheezon ka tareeqa aap ne bataya hai hai .Sote waqt ye aamal kiye jayen to Insha Allah bahut faida hasil hoga .
(1) Aayatul kurshi shareef 1 baar padh liya jaye .Fayda :
Aayatul kursi padh kar sone wala jab tak soye ga Allah ki hifazat me rahega . Is aayat ko padh kar sone wale ko koi nuqsan wagairah nahi hoga . Us ke ghar aur ghar ke aas paas jo ghar hain un sab ko chori se panah milegi . Aur Jinn o aaseb ka koi asar nahi ho sakta . (2) Tasbeeh e Hazrat Fatima radiallahu anha padhen har raat sote waqt . Tasbeeh e Fatima ye hai , 33 Baar Subhan Allah , 33 Baar Alhamdulillah , 34 Baar Allahu Akbar .Faida :
Subah uthega to chust o furt rahega . Susti , kahili qareeb nahi aayegi . Iske alawa bhi bahut saare fayde hain . Insha Allah un ko alag se zikr kiya jayega . (3) Surah Fatiha aur Surah Ikhlaas 1 baar padhe . (4)Surah baqra ki ibtidai aayat ( Alif Laam meem se Muflihoon tak ) aur isi tarah aakhri aayat ( Aamanar rasool se ) last tak . (5) dono hathon ki hathekiyan faila kar 4 qul padh kar haath par dam kare , Uske baad sar , Chehre aur seene par aage peeche jahan tak haath pahunche poore badan par haath phere . Isi tarah se 3 baar kare Insha Allah har museebat , aafat o bala se nijat milegi .So kar Uthne ke baad ye Duayen padhe
Sokar uthne ke baad ye du padhna chahiye . Alhamdulillahil lazi ahyaana ba’da ma amaatana wa ilaihin nushoor . अल्हम्दुलिल्लाहिल लज़ी अह्याना बा’दा मा अमातना व इलैहिं नुशूर Translation ” Tamam tareefen Alah tala ke liye jis ne hame maut ke bad zindagi ata farmayi . ( Neend ko aarzi maut kahte hain ) aur hamen usi Alah ki tarah wapas hona hai .Faida :
Jo Shakhsh pabandi se ye dua padhe ga , Insha Allah qayamat me bhi Allah ki tareef karta hua uthega . Note : Jitni duaye likhi gai hain har aik ke shuru me durood shareef padhne se tamam duayen Insha Allah jald qubool hongi .Momin aur kafir ki rooh kaise nikali jati hai | momin aur kafir ki maut me farq
Auozubillah aur Bismillah ki fazilat / bismillah ki barkat
आयतुल कुर्सी की फ़ज़ीलत | Aayatul kursi ki fazilat
Kutubahu & Verified by: