Verified guidance Authentic Islamic guidance, thoughtfully organised for everyday life.
Verified Hanafi Fiqh

Sote aur uthte waqt ki dua jo bahut fayde mand hain

Sote aur uthte waqt ki dua jo bahut fayde mand hain
Reference 156 September 18, 2025 7,675 views
اصل سوالSote aur uthte waqt ki dua jo bahut fayde mand hain

Sote aur uthte waqt ki dua

Hamare Aaqa sallahu alaihi wasallam ne kisi bhi maqam par apni ummat ko faramosh nahi kiya . Har waqt kya karna hai . Kaise rahna hai . Sone ,Uthne ,Baithne ,Khane , Peene Sab cheezon ka tareeqa aap ne bataya hai hai .
       Sote waqt ye aamal kiye jayen to Insha Allah bahut faida hasil hoga . 
(1) Aayatul kurshi shareef 1 baar padh liya jaye .

Fayda :

Aayatul kursi padh kar sone wala jab tak soye ga Allah ki hifazat me rahega . Is aayat ko padh kar sone wale ko koi nuqsan wagairah nahi hoga . Us ke ghar aur ghar ke aas paas jo ghar hain un sab ko chori se panah milegi . Aur Jinn o aaseb ka koi asar nahi ho sakta . (2) Tasbeeh e Hazrat Fatima radiallahu anha padhen har raat sote waqt . Tasbeeh e Fatima ye hai , 33 Baar Subhan Allah , 33 Baar Alhamdulillah , 34 Baar Allahu Akbar .

Faida :

Subah uthega to chust o furt rahega . Susti , kahili qareeb nahi aayegi . Iske alawa bhi bahut saare fayde hain . Insha Allah un ko alag se zikr kiya jayega . (3) Surah Fatiha aur Surah Ikhlaas 1 baar padhe . (4)Surah baqra ki ibtidai aayat ( Alif Laam meem se Muflihoon tak ) aur isi tarah aakhri aayat ( Aamanar rasool se ) last tak . (5) dono hathon ki hathekiyan faila kar 4 qul padh kar haath par dam kare , Uske baad sar , Chehre aur seene par aage peeche jahan tak haath pahunche poore badan par haath phere . Isi tarah se 3 baar kare Insha Allah har museebat , aafat o bala se nijat milegi .

So kar Uthne ke baad ye Duayen padhe

Sokar uthne ke baad ye du padhna chahiye . Alhamdulillahil lazi ahyaana ba’da ma amaatana wa ilaihin nushoor .  अल्हम्दुलिल्लाहिल लज़ी अह्याना बा’दा मा अमातना व इलैहिं नुशूर  Translation ” Tamam tareefen Alah tala ke liye jis ne hame maut ke bad zindagi ata farmayi . ( Neend ko aarzi maut kahte hain ) aur hamen usi Alah ki tarah wapas hona hai . 

Faida :

Jo Shakhsh pabandi se ye dua padhe ga , Insha Allah qayamat me bhi Allah ki tareef karta hua uthega .  Note : Jitni duaye likhi gai hain har aik ke shuru me durood shareef padhne se tamam duayen Insha Allah jald qubool hongi .

Momin aur kafir ki rooh kaise nikali jati hai | momin aur kafir ki maut me farq

Auozubillah aur Bismillah ki fazilat / bismillah ki barkat

आयतुल कुर्सी की फ़ज़ीलत | Aayatul kursi ki fazilat

 

D
Answered and reviewed by Darul Ifta Scholar Scholar & reviewer
Was this answer useful? Save or share it for later.

Important note: Published answers provide general guidance based on the details supplied. A materially different situation may require a new, private question.