Fatwa #158
تصدیق شدہ فتویٰ (Verified)
Reader Font:
Ramzan kab se start hai 2021
Questioner: Questioner
Darul Ifta / Scholar: Verified Hanafi Fiqh
Date: September 18, 2025
0
11,844
سوال (Question):
Ramzan kab se start hai 2021
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ
الجواب و الشرعی حکم (Fatwa Answer):
Ramzan 2021 ka chand / Ramdan kab 2021
Ramzan kab 2021 se hai ye chand dekh kar hi pata lagta hai . Albatta Ramzan islami saal ka 9wan maheena hai . musalmano ke yahan is maheene ki kaafi ahmiyat hai . Is maah me roza , Taraweeh ka khusoosi ehtimam hota hai . Chand ki baat karen to 2021 me agar 12 april ko chand nikalta hai to , Pahla Roza 13 April ko hoga . Pahli Taraweeh 12 ki shaam me padhi jayegi . Aur Agar Chand 13 April ko hota hai to first roza 14 ko aur pahli taraweeh 13 ki shaam me hogi .Ramzan ka chand dekh kar ye dua padhe.
Mahe Ramzan ka chand dekhne ka khusoosi hukm Huzoor ne farmaya hai . Jab mahe ramzan ka chand nazar aaye to ye dua Padhna chahiye . Allahumma Ahillahu Alaina bil amani Wal Imani was-salamati Wal Islami , Rabbi wa – Rabbukllahu Ya hilal . Aye Allah is Chand ko hamare uoopar iman , aman ,salamati aur islam ke saath tulu farma . Aye Chand mera aur tera Rab Allah hai .Chand dekhne ki dua hindi me
अल्लहुमा अहिल्लहु अलैना बिल अमनी वल इमानि वस्सलामाती वल इस्लामी रबी व रब्बुकल्लाहु या हिलाल .2021 me Eid kab hogi / Eid 2021
Mahe ramzan jo ki muslims ke liye khaas maheena hai . Jis me log mukammal tarah se ibadat me lage hote hain . Maheene ke last me Allah ka shukr ada karte hue ki aisa pakeeza maheena ata farmaya Eid manate hain . Ye maheena agar 29 ka raha to chand dekh 12 May Eid manaya jayega . Aur agar 30 din ka maheena ho to phir 13 may ko Eidul fitr hogi .Jis me ham musalman jama hokar aik saath ibadat karte hain .Sehri ka time in 2021 / Sehri time table 2021
Sehri ka time Subah e sadiq se pahle tak rahta hai . Yani Fajar ki azan se lagbhag 20 minute pahle tak sehri khai ja sakti hai . Har jagah ki sehri ka time alag alag hota hai . Isliye yahan par Aap ko sehri ka time nahi bataya ja raha hai . Agar aap ko kisi jagah ki sehri ka time chahye to Diye gaye number par whatsupp ke zariye pooch sakte hain . Sehri ka starting time nahi hota hai . Agar koi Isha ki namaz ke baad hi sehri ki niyat se khaa le phir usi se roza rakhe to roza mana jayega . Albatta Sehri ka jo behtareen waqt hai wo sehri ka last time hai .Sehri ki dua aur niyat
Sehri khane se pahle khane ki dua padhna chahiye . Bismillah padh kar bhi sehri khaai ja sakti hai . Sehri khane ke baad ye niyat karna chahiye .نویت ان اصوم غدا للہ تعالئ من شھر رمضان ھذا
Main niyat karta hun is ramzan ke maheene ki kal Allah ke liye roza rakhuga . aik doosri dua thoda alag lafz me milti hai wo ye hai .و بصوم غد نویت من شھر رمضان
Aur main ne mahe ramzan ke kal ke roze ki niyat ki . dono Duawo me se jo bhi aap ko yaad ho aap apni suhoolat ke eitibaar se padh sakte hain . Ye Dua hadees se sabit hai . Read More …..Sehri ki fazilat / Sehri ka bayan in hindi
Roze ke masail / Niyat / waqt in Hindi
دارالافتاء اہل سنت (مسائل ورلڈ)
تصدیق و تدوین: Verified Hanafi Fiqh
Recent Fatawa
غوث پاک نے حضرت عزرائیل سے روح کا تھیلا چھین لیا یہ کہنا کیسا ہے؟
Read Fatwa
19
منگنی کی مجلس میں لڑکی کی طرف سے وکیل اور دوگواہوں کے سامنے مہر رکھ کر لڑکی سے اجابت لیکر
Read Fatwa
13
نفلی صدقہ /چندہ کا حکم از مفتی شان محمد مصباحی
Read Fatwa
11
مقتدی کو ترک واجب کا یقین ہو اور امام کو کچھ اندازہ نہ ہو تو نماز کا اعادہ کیا جاے
Read Fatwa
17
کسی وہابی دیوبندی یا گستاخ رسول کو امام بنانا کیسا ہے؟
Read Fatwa
9