Fatwa #174
تصدیق شدہ فتویٰ (Verified)
Reader Font:
Nek aulad ke liye dua | नेक औलाद के लिए दुआ
Questioner: Questioner
Darul Ifta / Scholar: Verified Hanafi Fiqh
Date: September 18, 2025
0
7,887
سوال (Question):
Nek aulad ke liye dua | नेक औलाद के लिए दुआ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ
الجواب و الشرعی حکم (Fatwa Answer):
Nek aulad ke liye dua | नेक औलाद के लिए दुआ
Har Insan ki shadi ke baad ye khwahish hoti hai ki Allah nek aur saleh aulad ata farmaye . Uske liye ulamaye kiram ne bahut sari duayen batai hain . Agar hum un duauon ko sachche dil aur yaqeen ke saath karen , To insha Allah hamari dua qabool hogi . Aur Allah hamen nek aur saleh aulad bhi ata farmayega . Hazrat Ibrahim alaihissalam ne apne mission ko jari rakhne ke liye , Allah ki bargah me saleh aur achche aulad ke liye jin alfaz se dua ki thi wo Qura’an me mojood hai . Aap ne dua ki thi Jis ke nateeje me aap ko aik haleem o burdbaar ladke ki basharat mili . Aap ne ye dua ki thi . ( رب ھب لی من الصالحین ) Aye mere rab mujhe nek aur saleh aulad ata farma . Agar aap bhi ye dua karte hain to Insha Allah aap ko zaroor aulad hogi .Nek Bivi aur nek aulad ke liye dua
Allah ta’la ne apne nek bandon ke zikr me Qura’n muqaddasme farmaya ki wo log ye dua karte hain .ربنا ھب لنا من ازواجنا وذرییاتنا قرۃ اعین و اجعلنا للمتقین اماما
रब्बना हब लना मन अज्वाजिना व ज़ुर्र्यतिना कुर्रत अ’यूनी वजा’लना लिल मुत्तक़ीन इमामा ( Surah furqan , Ayat number 74) Turjuma : Aye hamare Rab , Hamen hamari biviyon aur hamari aulad se aankhon ki thandak ata farma , Aur hame parhezgaron ka peshwa bana . Ye dua har namaz ke bad mangi jaye agar shadi nahi hui hai to Insha Allah nek bivi milegi . Agar shadi ho chuki hai to Allah ki bargah me niyat kar ke dua kare ki Allah nek aur saleh aulad ata farmaye . Insha Allah Quran ki is aayat ki barkat se behtar aulad ata hogi .Dua ki qubooliyat ke liye Dua
Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne Khana ka’ba ki tameer ke waqt Allah ta’ala ki bargah me apne us amal ki qubooliyat ke liye ye dua farmai thi . Jise Qura’n me bhi bayan kiya gaya hai .ربنا تقبل منا انک انر السمیع العلیم
रब्बना त्क़ब्बल मिन्ना इनका अंतस समीउल अलीम Tarjuma : Aye hamare rab ham se qubool farma , Beshak tu hi sunta janta hai . ( Surah baqra , Ayat 127 )आयतुल कुर्सी की फ़ज़ीलत | Aayatul kursi ki fazilat
सूरह बकरा की फ़ज़ीलत | सूरह बकरा से शैतान घर से दूर रहेगा
Sote aur uthte waqt ki dua jo bahut fayde mand hain
دارالافتاء اہل سنت (مسائل ورلڈ)
تصدیق و تدوین: Verified Hanafi Fiqh
Recent Fatawa
غوث پاک نے حضرت عزرائیل سے روح کا تھیلا چھین لیا یہ کہنا کیسا ہے؟
Read Fatwa
19
منگنی کی مجلس میں لڑکی کی طرف سے وکیل اور دوگواہوں کے سامنے مہر رکھ کر لڑکی سے اجابت لیکر
Read Fatwa
13
نفلی صدقہ /چندہ کا حکم از مفتی شان محمد مصباحی
Read Fatwa
11
مقتدی کو ترک واجب کا یقین ہو اور امام کو کچھ اندازہ نہ ہو تو نماز کا اعادہ کیا جاے
Read Fatwa
17
کسی وہابی دیوبندی یا گستاخ رسول کو امام بنانا کیسا ہے؟
Read Fatwa
9